CLICK HERE FOR BLOGGER TEMPLATES AND MYSPACE LAYOUTS »

Friday, November 03, 2006

From AAmir Khushroo's collection

Tu bewafa nahi tujhme wafa bakki hai,
Na ja mujhse door abhi tujhme nasha bakki hai....

Peene ko to sabhi peete hai zamane me,
Kehte hai tu hai mahir gham bhulane me,

Dekhta hoon tere labpe kush ankaha bakki hai......
Na ja mujhse door abhi tujhme nasha bakki hai.....

Har koi chala gaya beech rah me chhorke,
Kahin tu na jana mera ghamo se nata jorke.......

Mere chaman me abhi rang-e-kazza bakki hai.....
Na ja mujhse door abhi tujhme nasha bakki hai.....

Keh ke shrabbi mujhe marte hai thokar aksar,
Seene se lagaye rehta hoon tujhe shaam-o- sehar.....

Tujhse dil lagane ki abhi 'veer' ki sazza bakki hai.......
Tu bewafa nahi tujhme wafa bakki hai,
Na ja mujhse door abhi tujhme nasha bakki hai....


Thanks to Amu. She contributed this gem to be published here.
Really sweet and thoughtful on her part!

1 comments:

Aashun said...

Not all of us together, given an infinite amount of time, could produce anything remotely close to his level. No way! Thanks for the collection, enjoyed it.